SHART

Опубликовано: 12 Ноябрь 2019
на канале: Raad Ali
131 тыс
4 тыс

Soundcloud:
Instagram:
Spotify:


Support me on Patreon:


Lyrics:

Ye dunya kamini saali aanay nahi degi
Tunay sar jo jhukaya ye uthanay nahi degi
Sach ghol ke pilayay gi fasanay nahi degi
Tujhay ghari aik degi ye zamanay nahi degi
Teray suroon pe ye bhai tujhay gaanay nahi degi
Teri marzian tujay ye chalanay nahi degi
Tujhay berion main baandh le gi janay nahi degi
Saans bhi ye lenay bahanay nahi degi

Par umeed bhi to hai jo doob janay nahi degi
Aur manzilon se nazrein jo hatanay nahi degi
Aag dil main jo hai jalti wo bujhanay nahi degi
Khwabon ko ye khaak main milanay nahi degi
Kisi khoti choti soch main samanay nahi degi
Ab phanday ye naseeb ke laganay nahi degi
Hathyar bech jang ye giranay nahi degi
Aur kahani main ye haar ko thikanay nahi degi


Degi ye dukh bhi kabhi
Sukh bhi han degi ye degi hassi
Rulayay gi aur khud manayay gi bhi
Rangon main rangay gi humko sabhiii


Kya pata hai aaj ka ye aaj hai par kal na ho
Kya maza hai jeet ka jo haar ke agar na ho
Visaal he be-maani hai ke baad jo hijar na ho
Baat gul ki ho to kaise kaanton ka zikar na ho
Wo raastay he kaise jin pe lutnay ka he dar na ho
Adhoori lagti manzilein jo lamba sa safar na ho
Ghar ki usko kya qadar jo rah main darbadar na ho
Hai waqt tujhse bekhabar to is se besabar na ho

Aisi koi shab nahi ke jiski phir sahar na ho
Hauslay teray kabhi mayoosi ki nazar na ho
Dair hai andheir na mumkin nahi asar na ho
Dil se jo hai nikli kaise paar wo jigar na ho
Aag khud he banna parta aag se jo larna ho
Khwab sacha karna parta khud ye umar bhar na ho
Simat he jatay faaslay jo faasla tay karna ho
Aaghaz ik qadam se hai pahaar jo bhi charhna ho



Degi ye dukh bhi kabhi
Sukh bhi han degi ye degi hassi
Rulayay gi aur khud manayay gi bhi
Rangon main rangay gi


Khwaab pakartay hoay dil ki han kartay hoay beetay gar wo lartay hoay .. to kya
Raston se miltay hoay raahon main girtay hoay khaak hoay phirtay hoay .. to kya

Kya hoa nakaam agar safar hai par jo humsafar
Ho raaston ke phir amar hai zindagi ki har dagar
Nayi sahar hai har nazar
Hai beasar wo saara dar
ye khauf banta bezarar
To khol lega apnay par jayay ga phir hawa se lar ke
Sar ki dhar ki baazi khel ke magar..
Sabar jabar ke seekh jayay ga hunar
Tu zair aur zabar ka fark karkay apnay palat wark
Ho paanay ki jo TALAB uski TARAP he to SHART


Смотрите видео SHART онлайн без регистрации, длительностью 03 минут 11 секунд в хорошем hd качестве. Это видео добавил пользователь Raad Ali 12 Ноябрь 2019, не забудьте поделиться им ссылкой с друзьями и знакомыми, на нашем сайте его посмотрели 131 тысяч раз и оно понравилось 4 тысяч людям.