2️⃣ 🔎 EVIDENCE of Dark Energy and Dark Matter | Episode 2

Published: 12 December 2022
on channel: Agyanium
56,787
4.2k

00:00 - kya koi Saboot hai hamare paas ki Universe mein 95% Dark Energy aur Matter hai?

00:10 - Kai saboot hain, Pehla main saboot hai ki Dark Matter ki gravity ki vajah se hamari Galaxies kaafi majbooti se ekjoot bani hui hai, jaise jab hum galaxies ko rotate hote hue dekhte hain, to agar vo sirf normal matter se bani hoti, to galaxy ke center ke kareeb ke Stars tej chakkar lagate, aur door bahar ke Stars dheere chakkar lagate, kyunki galaxy ke center ke kareeb gravity jyaada mehsoos hoti, aur door pe gravity kum hoti.

00:30 - Lekin, humne jab vastav mein dekh kar calculate kiya to paya, ki bahar ke stars bhi teji se chakkar laga rahe hain, matlab jaroor hi koi adrishya invisible matter hai, Dark Matter hai jo apni Gravity se unhe itna majbooti se pakde hua hai, ki bahari stars bhi teji se ghoom rahe hain.

00:45 - Aise hi Dark Energy ke bhi kai saboot hain, jaise Big Bang ki vajah se universe lagatar failta (Expand) hota ja raha hai, ye to samajh mein aata hai. Lekin 1990 mein pata chala ki, is failne ki speed badhti jaa rahi, Accelerate ho rahi hai. Yaani ye Zaroor hi koi anjaan energy karti hai, Dark Energy karti hai.

Lekin, Dark Energy Matter ki banavat kaisi hai? agle Episode mein dekhiye
In this episode, we will explore some of the leading theories of what dark energy and dark matter might be.

💡Key Points:
1. Episode 3 👇
2. Playlist -    • Dark Energy & Dark Matter  
3. Source - WIKIPEDIA


Watch video 2️⃣ 🔎 EVIDENCE of Dark Energy and Dark Matter | Episode 2 online without registration, duration hours minute second in high quality. This video was added by user Agyanium 12 December 2022, don't forget to share it with your friends and acquaintances, it has been viewed on our site 56,78 once and liked it 4.2 thousand people.